Tumhein Nahi Maloom Us Chay Ka Maza - 2lines Urdu Hindi Shero Shayari -Hindi Shyari - Hindi Shayri
2lines Urdu Hindi Shero Shayari
افسوس تب اس دنیا میں ہم نہ ہوں گے
sataye gi is ko yaad hamari magar
afsos tab is duniya mein hum nah hon ge
میں کسی کو کیا اپنا بناؤں گا
بچھڑنا ہی ہے میری ذات مجھ سے
mein kisi ko kya apna bunun ga
bicharna hi hai meri zaat mujh se
آئے نا سمیٹئے مجھ کو
دیکھیے نابکھر گیا ہوں میں
aaye na samaitiye mujh ko
dekhieye na bikhar gaya hon mein
رات کو نیند تک میسر نہ ہوئی مجھ کو
کسی نے باندھ کر آنکھوں پر خواب لکھ ڈالے
raat ko neend tak muyassar nah hui mujh ko
kisi ne bandh kar aankhon par khawab likh daaley
تیری تمنا تیرا انتظار اور تنہا سا میں
تھک کر مسکرا دیا جب رو نہیں پایا
teri tamanna tera intzaar aur tanha sa mein
thak kar muskura diya jab ro nahi paaya
فنا ہو گئی ہے ذات کسی کی ذات میں کب سے
ہم جو نظر آتے ہیں فقط وہم ہےآپ کو
fanaa ho gayi hai zaat kisi ki zaat mein kab se
hum jo nazar atay hain faqat vahm hai aap ko
پھرمجھے صبر کی آیت کا حوالہ دے کر
جب بھی تم چاہوں سہولت سے الگ ہو جانا
phir mujhe sabr ki aayat ka hawala day kar
jab bhi tum chahoon sahoolat se allag ho jana
تیرا بچھڑنا کوئی عام سا واقعہ نہیں تھا
کئی برس لگے خود کو یقین دلاتے ہوئے
tera bicharna koi aam sa waqea nahi tha
kayi baras lagey khud ko yaqeen dilatey hue
میں دستیابی کے نقصان جانتا ہوں مگر
میں کیا کروں کہ مجھے آپ سے محبت ہے
mein dasteyabi ke nuqsaan jaanta hon magar
mein kya karoon ke mujhe aap se mohabbat hai
کیا خبر کون تھا وہ اور میرا کیا لگتا تھا
جس سے مل کر مجھے ہر شخص برا لگتا تھا
kya khabar kon tha woh aur mera kya lagta tha
jis se mil kar mujhe har shakhs bura lagta tha
تم تو رو لیتے ہو ہمارے بنا
پتہ نہیں کیوں ہم سے نہیں رہا جاتا
tum to ro letay ho hamaray bana
pata nahi kyun hum se nahi raha jata
تیرے ساتھ کا مطلب جو کچھ بھی تھا
تیرے بعد کا مطلب کچھ بھی نہیں
tairay sath ka matlab jo kuch bhi tha
tairay baad ka matlab kuch bhi nahi
تمہیں نہیں معلوم اس چائے کا مزا
جس میں وہ الائچی منہ سے توڑ کر ڈالتی ہے
tumhe nahi maloom is chaye ka maza
jis mein woh alaichi mun se toar kar daalti hai
0 Comments